Friday 9 December 2011

BETU KE LIYE

KUHU MUMA BETU KO BIRTH DAY PAR BAHUT BAHUT PYAAR AUR AASHIRVAAD DENA.
MAIN BURA SAHI LEKIN MERI KUWARI KE LIYE MERA PYAAR AUR BHAGWAAN SE KI PRARTHNA SACHI HAI.


MERE PAAS KABHI AUR KUCHH NAHI THA DENE KE LIYE.......



Thursday 1 December 2011

Aap Mere paas ho hamesha....

Us shakhs ko Bichadeny ka saleekaa nahi ” Faraz”
Jatay hue Khud ko Mere pass chhor gaya ...........

Monday 21 November 2011

OURS



My Sweet little Dreams
Once I had shinny round eyes,
With giltter sparkling inside
My Hope and dreams
Made them more bright
Sparkling like a shinning Star
My curls were bouncy like spring
Jumping here and there around my face

Livelyness was my second name
But I myself played a Game
Which drove me from there to here
Now I cant go anywhere
These were my sweet little dreams
which slipped away in the stream

By Missy Khan

Friday 11 November 2011

Happy B'day Kuhu Muma......


msgs ki bheer mein kho na jaaun is liye alag se msg kiya tha....
Mujhe Aap se koi shikaayat nahi...Maine AAp ko maaf kar diya....
jo kuchh Aapne kiya.....Aap apne Bhagwan ko jawab denge aur Main bhi..........

Thursday 13 October 2011


Mohabbat km nahi hoti......


Muhabbat kum nahi hoti
kisi k duur janay say
kisi k aazmanay say ya
kisi k routh janay say.
Safar ho khar zaroun per
keh ho jaltay angaroun per
musafat chahay sadiyoun ki ho
ya phir chand lamhon ki
musalsal chalti jaye bhi tau yeh be’dum nahi hoti
Muhabbat ki yeh fitrat hay.
Samay k tez dharoun mai, wafa k sang behti hay
rutain chahain hon kaisi bhi, hamesha saath rehti hain
Jo pal bhar mai badal jaye
yeh woh mausam nahi hoti
kisi k bewafaye per
kisi k kaj’adaye per
yeh barham tau ho jati hay magar madham nahi hoti.
Muhabbat kum nahi hoti.

Sunday 9 October 2011

sirf Aap.



Varq varq par Teri ibaarat, Tera fasaana, Teri hikayat..  
kitaab-e-hasti jahan se kholi teri mohabbat ka baab nikla..

Tuesday 4 October 2011

aa jao.....


wohi muntazir nigaahein wo hi shaam-e-gham ka aalam....
Main azal se tak rahi hun....Teri wapsi ki raahein.....

Mera muqqaddar..sirf Aap.



agar deta Khuda kuch ikhtiyaar ka mojiza Mujhe.....

Main Apne hathon se Apne muqaddar mein likhti 
Us ko ..........

us sab ke baad bhi......


Kamaal ka shakhs tha jisne Meri zindagi tabaah ki.... Raaz ki baat to ye hai..
Main Us sey khafa ab bhi nahi........

Sunday 2 October 2011

Saturday 1 October 2011

aisa kyun kiya..



bhanwar mein Mujh ko jo chor detay,
to Tum pe koi na baat aati...........
youn laa ke sahil pe phir dubona,
koi sunay ga to kya kahay ga .....

mujhe barbaad kar diya Aapne..

BARBAAD KARNE KE AUR BHI RAASTE THE FARAZ ..
NA JAANE UNHE MOHABBAT KA HI KHYAAL KYUN AAYAA.... 

Friday 30 September 2011


hosla Tujh ko na tha .. Mujh se juda hone ka ......
wana kaajal yun Teri aankhon mein na phaila hota.

thak gya hun.......



ajab charag hoon, din raat jal raha hoon Faraz

ab thak gaya hun, hawa say kaho bhuja day 


Mujhey.


 

Tuesday 27 September 2011

aye Sanam Teri mohabbat ka suroor itnaa tha kay..
Hosh hi na raha kay Barbaad ho rahe they Hum!!

Monday 26 September 2011

TU BEWAFA...................


TU jiss din karay ga yaad Meri Mohabbat ko
bahut royga us roz Khud ko Bewafaa keh kar.…

Sunday 25 September 2011

mera naseeb......


Nasseeb ka likha to mil hi jaye ga ya RAB

dena hai to Woh de jo taqdeer mein na ho ..........



Tu lafaz lafaz Mera......

shikwe shikaayaton ki nahi ye zarf zarf ki baat hai..
Tere weham-o-gumaan me bhi Main nahi....
or Tu.....lafz lafz Mujhe yaad hai….

Thursday 22 September 2011

Aapmujh mein......

Meri takmeel mein shaamil hain kuch Terey hissay,
 Hum agar Tujh sey na miltay tau adhuray rahtay.....

meri raatein..........


janay Us shakhs ko yeh kaisaa hunar aata hai,
Raat hoti hai to aankhon mein utar aata hai….

Wednesday 21 September 2011

Kuhu Muma.....

Tujhe yaad karte hain har saans k baad
kabhi subah se pehle kabhi shaam k baad
kabhi milo to kuchh karein baatein
ek jaam se pehle ek jaam k baad
dil ki deewaaron pe Tera naam likte hain
kabhi fursat mein kabhi kaam k baad
 
Mere marne k baad bhi log Tujhe pukaarenge
kabhi Mere naam se pehle..... kabhi mere naam k baad.......

Tuesday 20 September 2011

Meri bebasi.....

Aj tak qaayem hai Uskey laut aany ki umeed
aaj tak thehri hai zindagi apni jagah
laakh ye chaha ke Usey bhool jaaun pr faraz
hausley apni jagah
bebasi apni jagah

kuchh nahi...Tere siwa...........


nahin aur kuchh bhi Tere siva?!!!
Meri Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Alam Bhi
Mera Naam Bhi
K Meri Subah
K Mere Sham Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Atta Kare
Mere Jaan Tu Yaqeen to kar
Mujhe mangana to na aa saka
Main ne phir bhi mangi yahi Dua
K gawaahi de ga Mera Khuda
Maine jub bhi Us se talab kiya
Nahi maanga kuchh bhi

Tere Siva .. Tere Siva !!

wo bewafaa na tha.........


sau doorion par reh kar bhi Wo Mujh say juda na tha
Woh Meri Zindagi tha magar Be-Wafaa na tha

duniya ney zara si baat ko qayaamat bana dala
warna kabhi Woh Mujh sey itna khafa na tha..........

Monday 19 September 2011

kabhi poochhna Khud se.......


kabhi yaad aye to poochna zara Apni 
khalwat-e-sham se 
Kisay ishaq tha teri zaat se 
Kisay payar tha Teray naam se
zara yaad kar kay Woh kaun thaa 

jo kabhie Tujhey bhi aziz thaa
Woh jo jee uthaa Teray naam se 
Woh jo mar mita Teray naam pe 
Humain be-rukhi ka nahin gila,
keh yehi wafaaon ka hai sila

magar aisa jurm tha kaun sa? 
gaye Hum duaa-o-salam se????
naa kabhie visaal ki chaah ki

naa kabhie firaaq mein aah ki  
ke Mera tareeqa-e-bandgi 
hai judaa tareeqa-e-aam se…..

Guddu..........

Gudia......
sometimes I just need someone to talk to.........

main...........


Poochna chahta hoon Main yeh Unki aankhon se Shakir
Kis ko abaad kia hai Mujh ko barbaad ker ke .....

Sunday 18 September 2011

AAP...........

Apne hathon ki lakeeron se mita dun Tujh ko?
 Kaise mumkin hay k main aise dagha dun Tujh ko

Sochta hon main kisi taur bhula dun Tujh ko
 Apni yaadon se kisi roz mita dun Tujh ko

Tu na mil paye Mujhe aisi Dua dun Tujh ko
 hosla hota nahin dagh e wafa dun Tujh ko

Mere daman mein andheron k siva kuch bhi nahin
 yeh kisi roz,kisi roz bata dun Tujh ko

aitbar e dil e awara nahin hay Mujh ko
is ki dharkan mein bhala kaise basa dun Tujh ko

Aag si lagti hay seenay mein shab o roz Khalish
 Yeh na ho khud bhi jalon aur jala dun Tujh ko

BEWAFAA.....


Phir itne mayoos kyun ho us ki Bewafaai Per “Faraz”


Tum khud hi to kehty thay ke Wo sab se Juda hay….

Friday 16 September 2011

wo Bewafaa.......


wo Bewafaa na tha bus yoon hi badnam ho gya
  
hazaaron chaahne wale the us ke kiskis se wafaa karta


woh shakas kab ka mar chuka.....

jis ka poochtay ho faraz.

Kisi ki yaad ne usey zinda jala diya........

Maan jao Gudia......


Main Us shakhs ko kaise mana aunga faraz…


jo mujh se rootha hai Meri mohabbat ke sabab se….

Wednesday 14 September 2011



We can not always be measured by how long we wait .....
It is about how well you understand ...........
                              why you are waiting..............

Tuesday 13 September 2011

Main Aapka hun.........sirf Aapka.


Ajab takaazay hain chaahton key..
Bari kathin yeh musaaftain hain…

Main jis ki raahon main bichh gyaa hun..
Usi ko Mujh se shikaaytain hain..

Shikaaytain sab bjaa hain lekin..

Main Us ko kaise yaqeen dilaaun..
Wo Mujh ko jaan se aziztar hai..

Usey bhulaaun to Mar  jaaunga……..jald hi

bas Aa jao ab...............


suno Aap ne kahaa tha na
mujhe jazba-e-mohabbat se
kabhi jo Tum pukaaro gey
Main uss din laut aaon ga
to dekho na!!
kai lamhon
kai saalon
kai sadiyon
se Tera raasta takti
yeh Meri muntzir aankhain
Mere dil ki
ye dharkan or sansain
bas Tumhara naam leti hain
wohi ik wird karti hain
Meri aankhon ke sahil par
Teri khwaahish ki mojon ney
bari hulchul mchaai hai
Teri tasveer
sookhy phool
or tohfy
teri chahat ki khushbu mien
abhi tak saans lete hain
wo sab rasty
keh jin pr Tum humaray sath chalty thy
wo sb rasty
jahan Teri hansi ke phool khiltey they
jahan perhon ki shaakhon par
Hum apna naam likhtey they
udasi se bhary manzar
Tumhary lout kar aany ki
umeedain dilaaty hain
Suno kuch bhi nahi badla
Tumhary paaun ki awaz sun’ny ki
Mere kamry ki be’tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko
yon adhooraa to nahi chhoro
Mujhe mat azmaao Tum
chalo ab lot aao Tum………Mere jaane se pahle.. 
Humari Gudia ki Muma..... 

Sunday 11 September 2011

Meri saansein.......

Chal ab Meri saansein hi zmaanat rakh le Tu..............
shaayad is tarah ban jaaun Main Tere aitbaar ke qaabil....

Saturday 10 September 2011

Meri Dua............


Aao kisi shab, Mujhe toot ke bikharta dekho,
Meri ragon mein Zahar, judaai ka utartaa dekho,


kis kis tarah se Tujhe maanga hai Khuda se,
aao kabhi Mujhe sajdon mein sisakta dekho............. 

Friday 9 September 2011

MERI....SIRF MERI.


Mujhe aaj bhi 
Uski be-panaah mohabbat 
rone  nahi deti,

 jo kahti thi
MERI JAAN NIKAL JAAYEGI, 
TERE AANSOO NIKALNE SE PAHLE......

Thursday 8 September 2011

Har pal.................


itna tasalsul tau Meri saanson mein bhi nahi mohsin
jis ravaani se Wo Mujhe yaad aataa hai..................


Monday 5 September 2011

Mera sab kuchh.


Ajeeb rishta hai Mera aur Uskay darmyaan,
Main Us ki kuch bhi nahi, Wo mera sab kuchh hai.....

Saturday 3 September 2011

Mujhe Tum yaad aate ho.......

muqqadar kay sitaaron par,
zmaanon kay asaaron par,

udaasi kay kinaaron par,
kabhi veeraan shahron main,
kabhi sunsaan raaston par,
kabhi heraan aankhon main,
kabhi bejaan lamhon par,
tumhaari yaad chupke se,
koi sargoshi karti hai,
ye palkein bheeg jaati hain,
to aansoo toot girte hain,
Hum palkon ko jhukaate hain,
b'zaahir muskuraate hain..
faqat itnaa hi kehte hain,
MUJHE TUM YAAD AATE HO....
MUJHE TUM YAAD AATE HO....... 

Mera sirf Mera............

Wo jo mera sub kuch tha.
main usy kabi bata na saka.
wo meri baat na samaj saka.
na apni muje samja saka..
maine jub b jzbon ki usey baat karni chahi.
Na us ne meri suni na apni muje suna saka.
main ne uski furkat mein sara jahan chor dia.
wo mera pher b hoa nahi.na apna muj ko bana saka.
waqt-e-judai mere zabt k daman toot gaye.
Maine usy lipat k rona chaha wo hath b na mila saka.
ek arsa bad wo mila mujse bus itna kaha muje.
Na tum se pehale koi dil mein tha,Na terey bad koi aa saka

MERI EID

Abhi zid na kar dil_e be-khabar
Kay paas_e hajoom_e sitam'garaan

Abhi kaun Tujh se wafaa karay
Abhi kis ko fursatain is qadar
Kay samait kar Teri kirchiyan
Teray haq mein khud se dua karay
Abhi zid na kar dil_e be’khabar
Kay tehay_e ghubaar_e gham_e jahan
Kahan kho gaye Teray chara’gar
Kay rah_e hayat mein raye’gaan

Kahan so gaye Teray hum safar
Abhi gham’gusaron ki chot seh

Abhi kuch na sun abhi kuch na keh
Abhi zid na kar Meray be’nawa
Kabhi yoon bhi ho kay sar_e uffaq
Teray dukh ka chaand damak uthay
Koi thais khud se chamak uthay
Kisi shaher_e zakham farosh mein
Koi zakham khud se khareed kar
Sabhi aks khud se khu’rach kabhi
Kisi aainay pay na deed kar
Kabhi yoon bhi jashan_e turab mana
Kabhi is tarha se bhi EID kar

EK BAAR MUJHE DEKHA HOTA..

Us pey khul jaati Mere shouq ki shiddat saari..
 daikhy hoty jo Mere paaon ke chhaly Usney...

jis ka har aib zamany sy chhupaya Maine.......

Mere qissay sar.e.baazaar uchhaly Usney.....

jab Usey Meri muhabbat pey bharosa hi na tha..
 kyun diye Meri wafaaon ke hawaaly Usney......

Meri dum torti khwahish ka khayal aa na saka..
 Apney armaan hameshaa hi nikaly usney .........

Thursday 1 September 2011

ab to bs zindagi ka Bewafa hona baki hai…..

pyaar bikta hai ab.


QADAM RUK GAYE HAIN PHOOL BIKTE DEKH KAR.................
WO AKSAR MUJH SE KEHTI THI MOHBBAT PHOOL HOTI HAI.


Usey yakeen hai ke Main jaan dey na paaun ga Faraz...

Mujhe yeh khauf hai ke Vo roye ga bahut aazma ke Mujhe....

Tuesday 30 August 2011

sach mein Main paagal ho jaunga....


darta hun kahin Mujh ko paagal hi na kar daalein

ye raat, safar-e-tanhai, ye Khamoshi  aur  Teri yaadein  ….

Elaan-e- marg hua tou Us nay bhi kaha mohsin…
 achhaa hua mar gayaa, aksar udaas rehta thaa…..

Monday 29 August 2011

CHAAND aur main


AIK SE MUQADDR HAIN AIK SAY MUSAAFIR HAIN,

MAIN ZAMEEN PAR TANHA, CHAAND AASMANO PEY..

main nahi sota........


fakat is darr se sona chhor dia FARAZ
ke ab khaabon mein bhi bichhra tau mar jaain ge Hum.

suno .....


Suno…!!
 

Aakhri martbaa wapis aa jao…!!

Mujhe ye, batla jaao, sikha do thora samjha do…!!
Ke…
Akela, kiss tarha rahoon…!!
Mujhe jeene nahin daiteen, bohut rulaati hain sirf,

TERI YAADEN

Sunday 28 August 2011

jisey Tum chhor jaatey ho.....

Tum to azam walay ho, bala ka zabt rakhtay ho

Tumhain kuch bhi nahin ho ga

Magar daikho

Jisay tum choray jatay ho,
Usay to theak se shayad Bicharna bhi nahin aata.

chup ho gya hun ab....


Mere hum-sukhan ka ye hukm tha, 
ke kalaam us say Main na karun, 

Mere honth aisay silay ke phir, 
Meri chup nay Us ko rula diya ..........

Aa jao ab..

maar hi dal Mujhe chasm-e-ada se pahle ....
apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle

ik nazar dekh lun aa jao qaza se pahle ......

Tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle

hashr ke roz Main poochhunga Khuda se pahle

Tu ne roka nahin kyun Mujhko khata se pahle

ai Meri maut thahar Unko zara aane de ....
 zahar ka jam na de Mujhe dawa se pahle
ye Mera hosla hai ke Tere baad, 
saans leta hun baat karta hun......

Saturday 27 August 2011

Friday 26 August 2011

MERI ZINDAGI......

MAR JAANE DIYA HOTA TO ACCHA HOTA.....MAIN TO JEENA HI NAHI CHAHTA THA....
AAPKE LIYE SAB KUCHH KIYA....
AUR AB AAPNE MUJHE TIL TIL KE MARNE KE LIYE CHHOR DIYA.....

BHAGWAAN AAP KO KABHI ZRA SA BHI DARD NA DEIN.....
MAIN HUN NA MARNE SE PAHLE SAB DARD MERE HISSEY MEIN HAIN....


MAALIK...  USKI KHUSHIYOON  MEIN AUR....
MERE DARD MEIN KOI KAMI NA RAKHNA..

....us paar mera mera intizaar hai..


jo Unki tamannaa hai, barbaad ho jaa
to aye dil muhabbat ki kismat banaa de
 
tadap aur tadap kar abhi Jaan de de..
yoon marte hain mar jaane waale,  dikhaa de

 
na Un kaa tabassum, tere waaste hai
na tere liye Un ki zulfon ke saaye
  
tu be aas phir kyon jiye jaa rahaa hai
jawaani mein ye zindgaani lutaa de
 
sitam yaa karam husn waalon ki marzi
yahi soch kar koyi shikwaa na karnaa
 
sitamagar salaamat rahe husn Teraa
yahi Us ko mitne se pahle duaa de.....
 

Wo dil kahaan se laaun....



Vo dil kahaan se laaun, Teri yaad jo bhulaa de

Mujhe yaad aane waale koi raasata bataa de



Rahane de Mujh ko, Apane qadamon ki khaaq ban kar

 jo nahin Tujhe gavaara, Mujhe khaaq men milaade



Mere dil ne tujh ko chaaha,

kya yahi meri khata hai…..

maanaa khata hai lekin, aisi to na saza de

Thursday 25 August 2011

Meri qismat...aur Aap.


yeh Tere pyaar ka gam, ek bahaana tha sanam

Apni qismat hi kuch aise thi, ki dil toot gaya



Ye na hota to koi doosra gam hona tha

Main to woh hoon jise har haal mei bas rona tha

muskarataa bhi agar to chhalak jaati nazaar

Apani qismat kuch aise thi ki dil toot gay



warna kya baat hai Tu koi sitamgar to nahin

Tere seene mei bhi dil hai koi patthar to nahin

Toone dhaaya hai sitam to yahi samjhenge Hum

apni kismet hi kuch aise thi

ke dil toot gaya

Monday 22 August 2011

AUR KITNE AANSOO ?????

Kal raat janay kiya hua
Kuch dair pehlay neend se

Kuch ashak milny aa gaye
Kuch khawab bhi tooty houey
 
Kuch log bhi bhooly houey
Kuch rasta bhatki houeen
Kuch gard mein lapti houeen
kuch khol mein simti houeen
Bayrabt c sochain kai
Bhooli houi baatain kai
Eik shaks ki yadain kai
 
Phir dair tak jagi rahi
Sochoon mein gum bethi rahi
Ungli se thanday farsh par
Eik naam bas likhti rahi
Kal raat bhi kiya raat thi
Kuch dair pehly neend se

MAIN DAIR TAK ROTI RAHI.....

SIRF AAPKA.

Humein ye zidd hai ki deewaangi na chhorenge....
Tum  bhi koi qasar na rakhna aazmaane mein.............

Hum..do jism Ek jaan hain....itne imtihaanon ke baad..PAAK aur NEK.


Apni yaadain Apni baatain le kar jana bhool gaya

Jaane wala jaldi mein mil kar jana bhool gaya

Mur mur kar dekha tha Us ne jaate raste mein

Jaise Us ne kahna tha kuch jo Wo kahna bhool gaya

waqt-e-rukhsat Meri aankhain ponchh raha tha aanchal se

Us ko ghum tha itna ziada Khud Wo rona bhool gaya


 

Main Aap mein hun......






Mujhe ye yaqiin ho chalaa hai
MUJHE KHUD SE  Tum kabhi bhi juda kar naa sakoge


Merii yaad hogii jidhar jaaoge Tum
kabhii naghmaa ban ke, kabhii ban ke aansuu
 

Taraptaa Mujhe har taraf paaoge Tum
 shamaa jo jalaayii Merii Wafaa ne

bujhaanaa bhii chaaho bujhaa naa sakoge

kaabhii naam baaton mein aayaa jo Meraa
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigaahon pe chhaayegaa gham kaa andheraa


kisii ne jo puuchhaa sabab aansuon kaa
bataanaa bhii chaaho bataa naa sakoge


Saturday 20 August 2011

MAIN AB BHI AAPKA HUN........


kabhi moam ban k pighal gaya
kabhi girte girte sanbhal gaya
woh ban k lamha graiz ka,
mere paas se nikal gaya

usay rokta bhi to kis tarah
k woh shakhs itna ajeeb tha
kabhi tarap utha meri aah se
kabhi ashq se na pighal saka

sar-e-rah mila woh agar kabhi
to nazar chura k guzar gaya
woh utar gaya meri ankh se
mere dil se kyun na utar saka

woh chala gaya jahan choor k
main wahan se phir na pallat saka

woh sambhal gaya tha magar
main bikhar k phir na sambhal saka

MAIN NAHI BADLA, MAIN NAHI BADLA
NAHIN MAIN NAHIN BADLA……MAIN AAJ BHI AAPKA HUN 
HAR TARAH SE SIRF AAPKA.

Friday 19 August 2011

Us sey kahna.

Bichhr rahi hai Meri zaat..... Us sey kehna
kabhi mile to yeh baat ......Us sey kehna


Us sey kehna..
 bin Us key Mera din nahi kat ta
 sisak sisak kay kat ti hai raat Us sey kehna
 Wo tha to zamana humsafar thaa Mera
 ab nahi koi Mere sath Us sey kehna


 pukarun Usey ya pahunch jaun Us kay paas
 nahi rahe ab wo halaat Us sey kehna
 

Main..
apni hr jeet Us kay naam kar rahi hun..
maan li Maine haar Us sey kehna.

Suno, GUDIA.

Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tere wasl ka resham ulajhta hai
Meray ansoo meray chehre pe teray gham ko likhtay hain
Meray ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Meray alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thakk gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon myn
Tumharay hijr kee narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh kee soorat
Tumharay wasl ka resham bhee ab neendain nahin bunta
Mari aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basera hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay day