Friday 12 August 2011

Wo.....


Koi muntazir hai Uska kitni shiddat se Nasir
Wo jaanta hai magar anjaan bana rehta hai........

Thursday 11 August 2011

MERI SHAAM.......MERA DARD AUR TUM.


Har dhalta hua Suraj mujhse kehta hai………
Aaj ussey bewafaa hue ek aur din guzar gaya…..

Sunday 7 August 2011

MERA AFSAANAA......

" Do he lafzon ka tha ye afsana,
jo suna ker khamosh ho baitha
Ibtada ye hai ki tum ko paya tha,
inteha ye hai ki khud ko kho baitha.

DARD.

bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saath hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
Bohut totey howey hain hum
Abhi Dastuk nahi dena!
Abhi Ankh hay Purnam
Abhi Dastuk nahi Dena!!
Mere Yar Abhi kuch Din mere Ahwal Mat Pocho..!
abHi Dil maiN hain kaYe Ghum
Abhi Dastak Nahi deNa!!
Shab-e-Tanhai main Tarapna hAy buhat mujhkO
Abhi hay Dard kuch madham abhi Dastak nahi Dena ..!!~
Dil ki tanhayiyon se zindagi ke raaste nahin kat te,
tumhare bina hamari tanha raatein nahin kat ti.

Tumne to apne dil ko rakh diya hai us shaher mein,
Jiske raaste hamari manzil tak nahin pahunchte.

Apne dil ke raaston ko aise band na karo,

usi ki raah se hamari bhi saansein guzarti hain.

Itna rooth kar kaha jaaoge humse,
Aap ke raaste to hamari hi manzil par aaker rukte hain.