Saturday 20 August 2011

MAIN AB BHI AAPKA HUN........


kabhi moam ban k pighal gaya
kabhi girte girte sanbhal gaya
woh ban k lamha graiz ka,
mere paas se nikal gaya

usay rokta bhi to kis tarah
k woh shakhs itna ajeeb tha
kabhi tarap utha meri aah se
kabhi ashq se na pighal saka

sar-e-rah mila woh agar kabhi
to nazar chura k guzar gaya
woh utar gaya meri ankh se
mere dil se kyun na utar saka

woh chala gaya jahan choor k
main wahan se phir na pallat saka

woh sambhal gaya tha magar
main bikhar k phir na sambhal saka

MAIN NAHI BADLA, MAIN NAHI BADLA
NAHIN MAIN NAHIN BADLA……MAIN AAJ BHI AAPKA HUN 
HAR TARAH SE SIRF AAPKA.

Friday 19 August 2011

Us sey kahna.

Bichhr rahi hai Meri zaat..... Us sey kehna
kabhi mile to yeh baat ......Us sey kehna


Us sey kehna..
 bin Us key Mera din nahi kat ta
 sisak sisak kay kat ti hai raat Us sey kehna
 Wo tha to zamana humsafar thaa Mera
 ab nahi koi Mere sath Us sey kehna


 pukarun Usey ya pahunch jaun Us kay paas
 nahi rahe ab wo halaat Us sey kehna
 

Main..
apni hr jeet Us kay naam kar rahi hun..
maan li Maine haar Us sey kehna.

Suno, GUDIA.

Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tere wasl ka resham ulajhta hai
Meray ansoo meray chehre pe teray gham ko likhtay hain
Meray ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Meray alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thakk gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon myn
Tumharay hijr kee narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh kee soorat
Tumharay wasl ka resham bhee ab neendain nahin bunta
Mari aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basera hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay day

Mere zakham.....

Itni shiddat sey Mujhey usney zakham diye hain Faraz..
Itni shiddat sey tau Mainy Ussey chaha bhi na  tha........

Tuesday 16 August 2011

Aap.

Guzray huay taweel zamanay kay baad bhi
 Dil mein raha Woh chhor kay janay kay baad bhi

Pehlu mein reh kay dil nay dia hai bahut faraib
 Rakha hai Us ko yaad bhulanay kay baad bhi

Qurbat kay baad aur bhi qurbat ki talash
 Dil mutmain nahin hai Teray aanay kay baad bhi
 

go Tu yahan nahin hai mager Tu yahein pay hai
 Tera hi zikar hai Teray janay kay baad bhi

Lagta hai kuch kaha hi nahin hai Ussay Adeem
 Dil ka tamam haal sunanay kay baad bhi..........

Mere Zakhm

Dard ki shiddat se sharminda nahi meri wafa ........
Dost gehrey thai to unkey zakhm bhi gehrey lagey.

Monday 15 August 2011

Yahaan.....

Mil ke  rangeen hawaaon mein kahin kho jayen
Ke udaasi ki parchhai door door tak nazar na aaye

YahaN aa ke kisi ney ab karna bhi kya hey
 na yahaN hey andhera na hi roshni hey.....

Viney....

Din to guzar hi jata hai logon ki bheed mein
kartay hain basar raat,
Main aur Terii yaadaien mil ke.....