Friday 19 August 2011

Suno, GUDIA.

Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tere wasl ka resham ulajhta hai
Meray ansoo meray chehre pe teray gham ko likhtay hain
Meray ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Meray alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thakk gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon myn
Tumharay hijr kee narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh kee soorat
Tumharay wasl ka resham bhee ab neendain nahin bunta
Mari aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basera hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay day

1 comment:

  1. Halaat chupke chupke kya chaal chal gye..... Aap bhi badal gye ho...hum bhi badal gye.

    ReplyDelete