Wednesday 25 May 2011

Aawaaz de rahi hai yeh kiski nazar Mujhe
Shayad mile kinara wahin doobkar Mujhe

Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gayi
Khone ke baad mil gayi apni khabar Mujhe

Har har kadam pe saath hoon saya hoon mai tera
Ai bewafa dikha to zara bhool kar Mujhe

Duniya ko bhoolkar teri duniya me aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar Mujhe

Duniya ka har nazara nigahon se chheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekhkar Mujhe

Tuesday 24 May 2011

khud ko chunate hue din saara guZar jaaaaata hai,
phir havaa shaam kii chalatii hai, bikhar jaata hooN!

SZA MERI....abhi bhi kam hai kya

SAZA YE DI HAI KI AANKHON SE CHEEN LI NEINDEIN
QASOOR YE THA KI JEENE KE KHWAB DEKHE THE
KISI NE RAIT KE TOOFAAN MEIN LA KE CHOR DIYA
YE JURM THA KI WAFA KE SARAAB DEKHE THE

Monday 23 May 2011


gulshan ki baharon mein rangeen nazaron mein

jab tum mujhe dhundhoge aankhon mein nami hogi

mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi

aakash pe jab taare sangeet sunayenge,

beete hue lamhon ko ankhon mein sajayenge,

tanhaai ke sholon se, jab aag lagi hogi

mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi,

sawan ki hawaon ka jab shor sunoge tum

bikhre hue maazi ke auraaq chunoge tum

mahaul ke chehre par dhool jami hogi

mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi

jab naam mera loge tum kaanp rahe hoge

aansu bhare daman se moonh dhaank rahe hoge

gamgeen ghataon ki jab chaon ghani hogi

mehsoos tumhe hardam phir meri kami hogi

Aapka faisla


mout sey pehley agar aana tera mumkin nahee 
phir yehii hoga ke bas be mout mar jainge ham